· personal

Desi aur Uski Pyari Billi

Billi Do Hazaar Saat Ek Lagan Nayi

Sawaal- Billi Do Hazaar Che main kya hua, diya kyon nahi? Jawaab- No Comments!

Sawaal-Kya is baar Fotu Chipkega? Jawaab- Ji haan chipkega!

Sawaal-Billi swasth ke liye kyon zaroori hai? Jawaab- Billi nahi nikli to Bill bharne mushkil ho jaayenge, hamara swasth to thik hi hai lekin kahi mansik swasth na kharab ho jaaye. Aji ho hi jaayega. Billi main nahi hona swasth ke liye hanikarini rahega.

Sawaal-Bangalore main to itne saare kutte hai, fir Billi hi kyon? Jawaab- Kisi mahaan vyakti ne kaha hai,

Bangalore main agar patthar faiko to ya to kutte ko lagega ya fir abhiyanta ko lagega.Humen socha kutto ka to yaha khatma ho raha hai, to ab hume hi patthar lagenge, to humne Billi ko chuna. Billi hume Bangalore ki takniki duniya se door jaane ka suvarna mauka degi.

Sawaal-Billi ke liye aajkal junta main utsukta kafi jyada hai? Jawaab- Ji haan, Billi kafi garma-garam ho chuki hai. Kuch varsho pahle yeh nahi tha. Bharat ki nayi artha-vyavastha main in naukriyon ko kafi badhawa mila hai.

Sawaal-Aap kya sochte hai kya is baar aap “Billi ka Tod” ya “Billi ki Ghanti” prapt karne main safal honge? Jawaab- Pata nahi, dekhiye kuch kah nahi sakte, baat yun hai ki aajkal Billi badi anishchit ho gayi hai, yeh ek aisa khel hai jiska nirnay hamare uttaro aur bhagwaan ke aashirwaad ke alawa, mananiya nyayalaya, kuch dangayi aivam mantri bhi nirikshan-parikshan karne ke baad ghoshity karte hai. Yahi saal le lijiye abhi tak Billi ke nirnay latke hue hai.

Sawaal-Aap to teesri baar Billi dene ki taiyari kar rahi hai, kuch hamare darshako ke liye sandesh? Jawaab- Ganit aur Anglya Bhasha prayog hi zaroori nahi hai, lagan aur mehnat zaruri hai. Dete rahiye, ek na ek din Billi aapke kadam choomegi. Jai Hind!!!

Kya Desi Billi prapt kar payenge.

SMS kijiye Desi Y (haan ke liye) ya Desi N(na ke liye) 242424 par

Dhanyawaad.

Pichle Varsh ke Desi ke Billi-Adventure

Technorati Tags: CAT, Humor

Comments

7 comments from the original post:


PinguApril 27, 2007 at 04:01 PM

Desi Y”itni klisht hindi ka prayog” :o-)itni bhari bharkam basha ka prayog mat karo bete… samajhne mein dikhat hoti hai :o-p


PrasoonApril 27, 2007 at 05:04 PM

ye padh ke mazaa aa gaya waise :)likhte hue dil pe nemak chidka tha ya phir billi ke upnidhikshakon ko tune maaf kar diya hai - mujhe to samajh hi nahi aaya.. :Pchalo jo bhi hai, abhi to samay pada hai anr hamne kaunsa haar maani hai ;)


deshApril 28, 2007 at 09:14 PM

@pinguarre arre aap to hindi ki sarvashreshta vaktaon main se thi, -waise bhasha ka mazzak udana acchi baat nahi hai-arre pyaremohan bhasha apne aap main ek aisi cheez hai jiska mazzak hi nahi udaya ja sakta@prasoon-dil par lal mirch…unko to kabhi maaf nahi karunga, chal bhai is baar saath main billi ka tod khoje


MalavikaApril 30, 2007 at 08:38 AM

ab hindi ka bhi CAT mein entry hui kya???hua tho aap keliye bahut hi accha hoga nah! [:P]


deshApril 30, 2007 at 12:06 PM

kya accha hoga yaarbadi dukh bhari dastaan haikabhi fursat main bataungaabhi u can read some,http://beingdesh.blogspot.com/2006/11/last-few-daystough-ones.html


AbhiTanejaMay 02, 2007 at 01:35 PM

automatic redirect from 242424 DESI Y


SupriyaJuly 16, 2007 at 11:42 AM

Kash k billi anglya bhasha ki jagah humare des ki bhasha me hoti to desi k pas 6 k 6 iim se bulawe aate!!!!6 cheers to this post.. :)

Leave a comment